बजरंगी हनुमान तुम्हारा क्या कहना

बाल बुद्धि विद्या में तुमसे
पार कोई ना पाए
कैसे कैसे सिया राम के देखो
तुमने काम बनाए।।

माता अंजनी के प्यारे
श्री राम की आँख के तारे
ओ वीर बलि बलवान तुम्हारा क्या कहना
बजरंगी हनुमान तुम्हारा क्या कहना।।

श्री राम दूत बन आया
सीता का पता लगाया
एक मुक्के में अक्षय को
तुमने याम लोक पठाया।।

लंका में आग लगाई
लंकेश की शान घटाई
तुम हो शक्ति की ख़ान
तुम्हारा क्या कहना
बजरंगी हनुमान तुम्हारा क्या कहना
ओ बजरंगी हनुमान तुम्हारा क्या कहना।।

Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna

Bal Buddhi Vidhya Mein Tumse
Paar Koi Naa Paye
Kaise Kaise Siya Ram Ke Dekho
Tumne Kaam Banaye

Mata Anjani Ke Pyare
Shri Ram Ki Aankh Ke Taare
O Veer Bali Balwan Tumhara Kya Kahna
Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna

Shri Ram Doot Ban Aaya
Sita Ka Pata Lagaya
Ek Mukke Mein Akshay Ko
Tumne Yam Lok Pathaya

Lanka Mein Aag Lagayi
Lankesh Ki Shaan Ghatayi
Tum Ho Shakti Ki Khaan
Tumhara Kya Kahna
Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna
O Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna

Laxman Ko Murchha Aayi
To Ghabaraye Raghurayi
Tum Ukhad Chale Giri Ko
Laaye Sanjeevan Booti
Laxman Ki Murchha Tooti
Murade Mein Daali Jaan
Tumhara Kya Kahna
Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna
O Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna

Jab Ram Nazar Naa Aaye
Moti Saare Bikharaye
Tab Lanka Pati Ne Tum Per
Taano Ke Teer Chalaye

Tum Cheer Gaye The Seena
Pal Bhar Ki Der Kari Naa
Seene Mein Sita Ram
Tumhara Kya Khana

Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna
O Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna

Tu Ala Bala Ko Taale
Tu Khole Takdeer Ke Taale
Uska Koi Kya Karlega
Jisko Tu Aaap Sambhale

Dusto Ko Maar Bhagaye
Jab Tu Apni Pe Aaye
Narsingh Karta Gun Gaan
Tumhara Kya Kahna

Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna
O Bajrangi Hanuman Tumhara Kya Kahna

Leave a Comment