गायत्री मंत्र – ॐ भूर्व भुवस्वा स्वः

गायत्री मंत्र – ॐ भूर्व भुवस्वा स्वः

Gayatri Mantra – Om Bhoor Bhuvah Swaha

हिंदू धर्म में गायत्री मंत्र को अन्या सभी मंत्रो से अधिक प्रभाव शालि बताया गया है । यह मंत्र भगवान सूर्या की स्तुति में गाया जाने वाला मंत्र है । ऐसी मान्यता है की इश्स मंतरा के जाप करने से और इसका अर्थ समझने से साक्षात ईश्वर की प्राप्ति होती है । गायत्री मंतरा के जाप करने से मन शांत होता है और शरीर में पॉज़िटिव एनर्जी बदती है । जिसके कारण आपके शरीर की स्किन में चमक आती है । इस मंत्र के जाप से जीवन में आराही समस्याओ से मुक्ति मिलती है । ये मंत्र बहुत ही लाभकारी माना गया है । सभी को इसका जाप करना चाहिए।

ॐ भूर्भुव: स्व: तत्सवितुर्वरेण्यं
भर्गो देवस्य धीमहि धियो यो न: प्रचोदयात् ।।

अर्थात उस प्राणस्वरुप, दुखनाशक, सुखस्वरूप, श्रेष्ठ, तेजस्वी, पापनाशक, देवस्वरूप परमात्मा का हम ध्यान करें । वह परमात्मा हमारी बुद्धि को संमार्ग में प्रेरित करे।

Hindu Dharma mein Gaytri mantra Ko Anya Sabhi mantro Se adhik Prabhav Shaali Bataya Gaya Hai. Yah mantra Bhagwan Surya Ki Stuti Mein Gaaya Jaane wala mantra Hai. Aisi manyata Hai Ki Iss mantra Ke Jaap Karne Se Aur Iska Artha Samjhne Se Sakshat Ishwar Ki Prapti Hoti hai. Gayatri mantra Ke Jaap Karne Se man Shaant Hota hai aur Sharir mein Positive Energy badti hai. Jiske karan Aapke Sharir ki skin mein chamak aati hai. Iss mantra Ke Jaap Se Jeevan mein aarahi samasyao se mukti milti hai. Ye mantra Bahut Hi Laabhkari maana gaya hai. Sabhi ko Iska Jaap Karna chahiye.

Om Bhoor Bhuvah Swaha
Om Tat Savitur Varennyam
Bhargo Devasya Dhimahi
Dhiyo Yo Naah Pracho Dayaat

Om Bhoor Bhuvah Swaha
Om Tat Savitur Varennyam
Bhargo Devasya Dhimahi
Dhiyo Yo Naah Pracho Dayaat

Gayatri Mantra Ka Arth :

Gayatri Mantra Bhagwan Surya Ki Stuti Mein Gaaye Jaane Wale Iss Mantra Ka Arth Hai Uss Praan Swaroop, Dukh Nashak, Sukhswaroop, Shreshtha, Tejasvi, Paap Nashak, Devta Swaroop Parmatmma ko hum antah karan mein dharan kare. Vah Paramatma haari Buddhi Ko Sanmarg mein prerit kare.

Gayatri Mantra Ka Jaap Kab Kare –

Gayatri Mantra Ka Jaap Din mein 3 Baar Karna Chahiye

Pahla – Subah Subah Suryauday Se Thodi Der Pahle Shuru Karke Surya Uday Hone Tak Kare.

Dusra – Dopahar Mein Jaap Kare

Teesra – Surya Asta Hone Se Kuchh Samay Pahle Se Surya Asta Hone Ke Baad Tak Kare.

Gayatri Mantra Ke Laabh –

Iss Mantra Se Gussa Shant Hota Hai. Kayi Bimariyo Mein Rahat Milti Hai. Iss Mantra Ke Jaap Se Rakta Sanchar Sahi Tarah Se Hota hai.

Yah Mantra Skin Ke Liye Faydemand Hai. Iss Mantra Ke Regular Jaap Se Skin Mein Bhi Nikhar Aata hai.

Padhnewale Bachche Agar Iska Jaap karte hai To Padai Mein Man Lagta hai Aur Smaran Shakti Bhi Teevra Hoti hai.

Anya Sabhi Tarah Ki Pareshani Jaise Naukari Business Parivarik Kalah Ityadi Mein Rahat Milti hai.

12 thoughts on “गायत्री मंत्र – ॐ भूर्व भुवस्वा स्वः”

Leave a Comment