
जाना था श्याम की नागरी
तो मैं चला ही गया
मिलना था मुझे श्याम से
तो मैं मिल ही गया पर चैन नही पाऊं
क्या कुछ खोकर आ गया।।
श्याम की नागरी में जो एक बार चला जाए
दीवाना हो जाए वो दीवाना ही हो जाए।।
Jana Tha Shyam Ki Nagari
To Main Chala Hi Gaya
Milna Tha Mujhe Shyam Se
To Main Mil Hi Gaya
Par Chain Nahi Pau
Kya Kuchh Khokar Aa Gaya
Shyaam Ki Nagari Mein Jo Ek Baar Chala Jaye
Deewana Ho Jaye Vo Deewana Hi Ho Jaye
Bhoole Se Bhooli Jaaye Vo Shyam Ki Galiyan
Dil Ko Har Hi Leta Vo Sanwariya Chhaliya
Uss Teen Baan Dhaari Ki Jispar Ye Nazar Ho Jaye
Deewana Ho Jaye Vo Deewana Hi Ho Jaye
Haare Ka Sahara Ye Dukhde Sab Harleta
Rota Hua Jo Jata Hai Ye Aansu Pochh Deta
Khali Jholi Wale Jholi Bhar Le Jaye
Deewana Ho Jaye Vo Deewana Hi Ho Jaye
Darshan Karne Walo Ki Lambi Lage Katare
Baahe Failaye Deewane Baba Baba Pukare
Vo Jiski Baah Pakadle Karishma Hi Ho Jaye
Deewana Ho Jaye Vo Deewana Hi Ho Jaye