Bhakton Chalo Ambey Maa Ne Bualaya

Jai Jai Maa Ambe Bol Maiya Bol
Bhakton Chalo Ambey Maa Ne Bualaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya
Masti Ka Aalam Hai Ghar Ghar Mein Chhaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Paake Sandesh Maa Ka Ruka Nahi Jaaye
Man Chaahe Baar Baar Aisa Din Aaye
Bhagyavaan Hai Vo Jise Maa Ne Bulaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Masti Ka Aalam Hai Ghar Ghar Mein Chhaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya
Jai Jai Maa Ambe Maa

Jaldi Se Karna Chalne Ki Taiyari
Dekhti Hai Raah Teri Jag Ki Mehtaari
Kya Soche Chhod De Tu Jag Ki Ye Maya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Masti Ka Aalam Hai Ghar Ghar Mein Chhaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Maiya Ke Dar Pe Chale Manmaani
Aata Hai Vahi Jise Chaahe Ambe Rani
Milega Naa Fir Jo Tune Avasar Gavaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Masti Ka Aalam Hai Ghar Ghar Mein Chhaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Kripa Ki Kahani Maa Ki Kahi Naa jaye
Jispe Daya Ho Maa Ki Vahi Keh Sunaye

Kalam Harsh Ki Aur Manjeet Ne Gaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Masti Ka Aalam Hai Ghar Ghar Mein Chhaya
Dekho Dekho Maa Ka Sandesha Hai Aaya

Leave a Comment