
माता पिता की सेवा ना की
देवी देवताओ को मानता है
अपने मा बाप को प्रणाम नही किया कभी
पर मंदिर में माला चढ़ाता है
क्यो चढ़ाता है क्यो चढ़ाता है।।
मंदिर मे ना मिलेंगे
गुरुद्वारे ना मिलेंगे
घर में ही बैठे
है तेरे भगवान
करले माँ को प्रणाम
अपने पिता को प्रणाम।।
Mata Pita Ki Seva Naa Ki
Devi Devtao Ko Manata Hai
Apne Maa Baap Ko Pranam Nahi Kiya Kabhi
Per Mandir Mein Mala Chadata Hai
Kyo Chadata Hai Kyo Chadata Hai
Mandir Me Na Milenge
Gurudware Naa Milenge
Ghar Mein Hi Baithe
Hai Tere Bhagwan
Karle Maa Ko Pranam
Apne Pita Ko Pranam
Mandir Me Na Milenge
Gurudware Naa Milenge
Ghar Mein Hi Baithe
Hai Tere Bhagwan
Karle Maa Ko Pranam
Apne Pita Ko Pranam
Jisne Tumko Janam Diya
Uss Maa Ko Kaise Bhool Gaya
Paal Posh Kar Bada Kiya
Uss Pita Ko Kaise Bhool Gaya
Inke Hi Charano Mein Hai Tera Mukam
Karle Maa Ko Pranam
Apne Pita Ko Pranam
Ungali Pakad Kar Chalna Sikhaya
Bhukhe Rah Kar Tujhe Khilaya
Kast Kabhi Jo Aaya Tum Per
Har Pal Tera Sath Nibhaya
Aise Maa Baap Ka
Naa Karna Apmaan
Karle Maa Ko Pranam
Apne Pita Ko Pranam
Janam Se Tera Sath Diya
Ab Tune Saath Kyo Chhod Diya
Nahi Maangte Dhan Daulat
Vo Chahte Hai Pyar Tera
Inke Sath Main Judega Tera Naam
Karle Maa Ko Pranam
Apne Pita Ko Pranam
Mandir Me Na Milenge
Gurudware Naa Milenge
Ghar Mein Hi Baithe
Hai Tere Bhagwan
Karle Maa Ko Pranam
Apne Pita Ko Pranam