Sindhu Suta Vishnu Priya
Shree Hari Ke Vaam
Hey Mahalaksmi Aap Ko
Baram Baar Pranaam
Hamara Baram Baar Pranaam
Chaar Bhujaye Aapki
Kamal Pe Rahi Viraaj
Gal Muktan Ki Maal Hai
Sar Se Sone Ka Taaj
Tihare Sar Sone Ka Taaj
Bhakto Ko Maa Baat Rahi
Dekho Dhan Aur Dhaan
Vaibhav Kare Pradaan Maa
Rakhti Bhakto Ki Shaan Hey Maa
Shesh Ki Shaiya Saj Rahi
Shree Vishnu Ke Sang
Ullu Ke Vahan Aapka
Rehta Aapke Sang
O Maiya Rehta Aapke Sang
Laal Rang Paridhaan Hai
Tilak Laga Hai Bhaal
Kanan Kundal Hai Saje
Naina Bade Vishaal
Lakho Surya Sa Tej
Maiya Aadi Ka Roop
Darshan Aapka Divya
Aapka Roop Anoop Hai Maiya
Chaar Gajanan Maat Ke
Chale Hamesha Sath
Ang Sang Ashwa Bhi
Maat Tumhare Din Raat
Dhan Aur Vaibhav Batati
Bhakto Ko Din Rain
Maa Tum Har Aahavan Se
Aata Dil Ko Chain
Dhan Lakshami Gaj Lakshmi
Vaibhav Lakshmi Naam Hai
Tumhare Hi To Naam
Tumhare Hi To Dhaam
Maiya Aapke Tej Se
Jag Mag Ho Sansaar
Brahma Vishnu Mahesh Bhi
Karte Naman Sau Baar
Bal Buddhi Dhan Dhanya De
Karti Maa Kalyan
Deeraayu Yash Maan De
Maiya Tumhe Pranaam Hamara
Paan Supari Nariyal
Meva Aur Mithan
Kanchan Thaal Sajayeke
Karte Hum Gungaan
Lakshmi Sam Maiya Nahi
Bhar Deti Bhandar
Tumhara Bhajan Maa Jo Kare
Pata Tumhara Pyar O Maiya
Pata Tumhara Pyar
Bhakto Ko Deti Sada
Maiya Shubh Aur Laabh
Dukh Sab Bhakto Ke Hare
Har Sakal Santaap o Maiya
Chandan Dar Pe Maa Khada
Jholi Ko Failaye
Charan Dhool Se Aapki
Maathe Tilak Lagaye
O Maiya Mathe Tilak Lagaye