Om Jai Lakshmi Mata Maiya Jai Laxhmi Mata
Tum Ko Nish Din Sevat Har Vishnu Vidhata
Om Jai Lakshmi Mata
Uma Rama Brahmani Tumhi Jag Mata
Maiya Tumhi Jag Mata
Surya Chandrama Dhyavat
Narad Rishi Gata
Om Jai Lakshmi Mata
Durga Roop Niranjani
Sukh Sampati Data
Maiya Sukh Sampati Data
Jo Koi Tumko Dhyata
Riddhi Siddhi Dhan Pata
Om Jai Lakshmi Mata
Tum Patal Nivasani
Maiya Tum Hi Shubh Data
Karam Prabhav Prakashini
Bhav Nidhi Ki Trata
Om Jai Lakshmi Mata
Jis Ghar Mein Tum Rehti
Sab Sadgun Aata
Maiya Sab Sadgun Aata
Sab Sambhav Ho Jata
Man Nahi Ghabrata
Om Jai Lakshmi Mata
Tum Bin Yagya Naa Hove
Vastra Naa Ho Pata
Maiya Vastra Naa Ho Pata
Khaan Paan Ka Vaibhav
Sab Tumse Aata
Om Jai Lakshmi Mata
Subh Gun Sundar Mandir
Shiro Dhadhi Jata
Maiya Shiro Dhadhi Jata
Ratan Chaturdas Tum Bin
Koi Nahi Pata
Om Jai Lakshmi Mata
Maa Lakshmi Jee Ki Aarti Jo Koi Nar Gata
Urr Aanand Samata Paap Utar Jata
Om Jai Lakshmi Mata
Om Jai Lakshmi Mata Maiya Jai Laxhmi Mata
Tum Ko Nish Din Sevat Har Vishnu Vidhata
Om Jai Lakshmi Mata