Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan Aati Hai Gagan Se Rojana

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Jai Jai Ambe Maa Jai Jagdame Maa

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Aati Hai Gagan Se Rojana

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Aati Hai Gagan Se Rojana

Chanda Bhi Sitaro Ke Moti
Deta Hai Nazar Se Nazarana

Ye Patit Pawani Ganga Jo
Shankar Ki Jata Mein Rehti Hai

Vohi Jata Shanakri Maiya Ke
Komal Charno Mein Behti Hai

Fir Mauj Mein Aakar Maujo Ka
Leharo Se Lipat Kar Lehrana

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Aati Hai Gagan Se Rojana

Kanchan Ka Badan Kanchan Ka Mukut
Kanchan Ka Hai Juda Baalo Mein
Bijali Ki Chamak Hai Jhanjhar Mein
Usha Laali Pau Mein

Din Raat Ka Chakar Chakkar Mein
Phoolo Ka Khilna Muskana

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Aati Hai Gagan Se Rojana

Mamta Ka Sarovar Hardaye Mein
Aur Man Mein Pyar Ki Gagar Hai

Mutthi Mein Hai Shakti Aur Mukti
Naino Mein Daya Ka Sagar Hai

Palke Hai Gulab Ki Pankhudiya
Vastra Bhushan Hai Sahaana

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Aati Hai Gagan Se Rojana

Sone Aur Chandi Ke Jarre
Sundar Dharti Pe Damakte Hai

Neelam Ke Neele Chamkeele
Patthar Parvat Pe Chamkte Hai

Chale Josh Mein Aakar Mast Pawan
Mausam Hai Suhana Mastana

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Aati Hai Gagan Se Rojana

Chanda Bhi Sitaro Ke Moti
Deta Hai Nazar Se Nazarana

Suraj Ki Kiran Choone Ko Charan
Aati Hai Gagan Se Rojana

Leave a Comment