Maa Ka Pyar Barasta Hai Savan Bhado Jaise

Maa Ka Pyar Barasta Hai
Savan Bhado Jaise

Maa Ka Pyar Barasta Hai
Savan Bhado Jaise

Maiya Tere Aangan Mein
Maiya Tere Aangan Mein
Karuna Kya Hoti Hai
Mamta Kise Kehte Hain
Dekha Tere Dhandhan Mein
Maa Ka Pyar Barasta Hai

Bole Bina Hi Dil Ki
Tu Meri Baatein Sun Leti

Maange Bina Jholi Meri
Khushiyon Se Bhar Deti

Itna Sachcha Maine
Darbar Nahi Dekha
Kabhi Apni Jeevan Mein
Kabhi Apni Jeevan Mein
Maa Ka Pyar Barasta Hai

Ye Swarg Ye Baikunth Nath
Main Jaanu Kahan Hai

Dhandhank Ko Dekhkar
Laga Ke Dono Yahan Hain

Mujhko To Lage Maiya
Teerath Saari Duniya Ke
Ek Tere Hi Charnan Mein
Ek Tere Hi Charnan Mein
Maa Ka Pyar Barasta Hai

Jab Jab Tujhe Dekha Meri
Ye Aankhen Bhar Aayi

Teri Murat Mein Hi Dikhi
Meri Maa Ki Parchhai

Mujhko To Dikhe Sonu
Janani Palanhaari
Maa Tere Hi Darshan Mein
Maa Tere Hi Darshan Mein
Maa Ka Pyar Barasta Hai

Leave a Comment