Maa Kamal Vahini Lakshmi Ki
Jis Bhi Praani Ko Kripa Mile
Vo Ghar Mandir Se Behtar Hai
Jis Ghar Mein Maa Ki Jyot Jale
Sukh Vaibhav Unse Door Nahi
Jo Maa Ki Sharan Mein Aata Hai
Unke Ghar Mein Har Ek Bhi
Maiya Ka Pahra Rehta Hai
Khushiyo Se Aagan Bhar Jaaye
Saari Mushkil Ek Pal Mein Tale
Maa Kamal Vahini Lakshmi Ki
Jis Bhi Praani Ko Kripa Mile
Ye Prem Bhav Ki Devi Hai
Ye Prem Bhav Bus Chaahe Hai
Sona Chandi Heere Moti
Pyari Maiya Nahi Chaahe Hai
Ye Khud Hi Dhan Ki Devi Hai
Iske Aage Ye Sab Naa Chale
Maa Kamal Vahini Lakshmi Ki
Jis Bhi Praani Ko Kripa Mile
Jis Sar Par Maa Ne Hath Dhara
Vaha Koi Kami Naa Rehti Hai
Maa Lakshmi Ki Kripa Ganga
Sanjay Ke Ghar Mein Behti Hai
Maa Ke Charno Mein Rehkar Ke
Sharma Ka Ye Parivar Chale
Maa Kamal Vahini Lakshmi Ki
Jis Bhi Praani Ko Kripa Mile
Vo Ghar Mandir Se Behtar Hai
Jis Ghar Mein Maa Ki Jyot Jale