Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau

Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau
Maa Ko Manau Main To Jyoti Jagau
Jyoti Jagau Main To Sar Ko Jhukau
Jhoomu Nachu Gaau Bolo Sachche Darbar Ki Jai
Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau

Maine Rakha Maa Ka Navratra
Ho Raha Mere Ghar Jagrata

Bhakto Ke Sang Mein Khushiya Manata
Laal Chunariya Maa Ko Odhata

Maa Ne Mehar Barsayi Re
Bolo Sherowali Mata Ki Jai
Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau

Singh Chade Aayi Maata Rani
Laage Maa Pyari Ambey Bhawani
Maa Mehrowali Hai Ambey Mata
Ved Purano Ne Mahima Bakhani

Bajrangi Sang Mein Laayi Re
Bolo Pahadowali Mata Ki Jai
Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau

Tilak Lagau Main To Kanjake Bithau
Sang Lokda Langur Jeemau
Ganga Ke Jal Se Charan Dhulau
Swagat Mein Maa Ki Palke Bichhau
Maa Meri Harshayi Re
Bolo Jhandewali Mata Ki Jai
Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau

Aas Rahi Naa Meri Koi Adhoori
Saari Murade Maa Ne Kardi Hai Puri

Baatu Main Ghar Ghar Halwa Puri
Maa Se Rahi Naa Koi Bhi Doori
Giri Ki Chinta Mitayi Re
Bolo Chintapurni Mata Ki Jai
Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau

Maa Ko Manau Main To Jyoti Jagau
Jyoti Jagau Main To Sar Ko Jhukau
Jhoomu Nachu Gaau Bolo Sachche Darbar Ki Jai
Maa Mere Ghar Aayi Re Main To Maa Ko Manau

Leave a Comment