Maa Tu Jo Dalegi Hum Par Nazariya Khul Jayenge Kishmat Ke Taale

Tu Jo Dalegi Hum Par Nazariya
Khul Jayenge Kishmat Ke Taale
Aake Darbar Tere O Maiya
Kardiya Khud Ko Tere Hawale

Humko Tera Bharosa Hai Maiya
Tuhi Vinti Sunegi Humari

Doobne Ko Hai Kishmat Ka Tara
Aake Tuhi Usse Bachale

Tu Jo Dalegi Hum Par Nazariya
Khul Jayenge Kishmat Ke Taale

Saup Kar Apna Jeevan Tujhe Maa
Ho Gaye Hai Befikar Hum Ab

Rank Ko Raja Tuhi Banaye
Khel Tere Jaha Mein Nirale

Tu Jo Dalegi Hum Par Nazariya
Khul Jayenge Kishmat Ke Taale

Ladkhane Lage Hai Kadam Ab
Sath Denge Ye Kab Tak Mera Maa

Khaak Mein Milne Se Pahle Mujhko
Deke Mujhko Sahara Uthale

Tu Jo Dalegi Hum Par Nazariya
Khul Jayenge Kishmat Ke Taale

Maa Dikhayi Naa De Raah Mujhko
Har Taraf Chhaya Dukh Ka Andhera
Teri Rehmat Se Chhatkayenge
Chhaye Hai Jo Gam Ke Badal Kaale

Tu Jo Dalegi Hum Par Nazariya
Khul Jayenge Kishmat Ke Taale

Matlabi Duniya Saari Hai Maiya
Waqt Pe Kaam Aayi Naa Mere

Mil Naa Paya Koi Iss Jaha Mein
Apne Aachal Mein Mujhko Chhupale

Tu Jo Dalegi Hum Par Nazariya
Khul Jayenge Kishmat Ke Taale

Leave a Comment