Meri Maa Hi Meri Vidhata Hai

Hume Jab Hamari Maa Ka Karma Yaad Aata Hai
Sach Kahu Meri Maa Hi Meri Vidhata Hai

Subah Savere Jal Surya Ko Chadati Thi
Aagan Mein Tulsi Maa Ke Fere Lagati Thi

Har Din Vo Daane Chhat Pe Chidiyo Ko Chugati Thi
Poochho Kabhi Jab Vo To Hum Ko Batati Thi
Karma Jaise Karta Hai Jo Phal Bhi Vaise Pata Hai
Sach Kahu To Meri Maa Hi Meri Vidhata Hai

Jab Bhi Rasoi Mein Vo Bhojan Banati Thi
Shradda Se Pahli Roti Agni Ko Chadati Thi

Godhur Bela Mein Nitya Deepak Jalati Thi
Poochhu Kabhi Jab To Hum Ko Batati Thi
Duniya Ki Har Cheejo Se Ishwar Ka Nata Hai
Sach Kahu To Meri Maa Hi Meri Vidhata Hai

Kuchh Bhaag Ramayan Ka Padti Padati Thi
Geeta Ke Pawan Updesho Ko Sunati Thi
Pyase Ko Paani Deti Bhookho Ko Khilati Thi
Poochhu Jab Kabhi Vo Humko Batati Thi
Hum Sab Ko Dene Wala Ram Ek Data Hai
Sach Kahu To Meri Maa Hi Meri Vidhata Hai

Devendra Shoharat Tumne Jo Kuchh Bhi Paayi Hai
Kuldeep Maa Ke Karmo Ki Kamayi Hai
Pal Mein Rooth Jaati Thi
Pal Mein Maan Jaati Thi
Poochhu Jab Kabhi To Humko Batati Thi
Beto Ka Dukh Mata Se Saha Nahi Jata Hai
Sach Kahu To Meri Maa Hi Meri Vidhata Hai

Leave a Comment