Prabhu Ka Hai Jisne Bharosa Kiya
Tufaano Mein Bhi Jalata Uska Diya
Dar Dar Kyon Bhatke Are Baware
Aaja Sharan Mein Sahara Milega Tujhe Shyam Se
Pakad Le Tu Pyare Dagar Shyam Ki
Sharan Mein Tu Aaye Agar Shyam Ki
Ye Kismat Tumhar Sanwar Jayegi
Hogi Daya Ki Nazar Shyam Ki
Bada Hi Dayalu Hai Datar Hai
Na Dooja Koi Aisa Darbar Hai
Dar Dar Kyon Bhatke Are Baware
Jo Khoya Hai Tune Dobara
Milega Tujhe Shyam Se
Prabhu Ka Hai Jisne Bharosa Kiya
Jahan Jyot Baba Ki Hai Jal Rahi
Vahan Raushani Shyam Se Mil Rahi
Bada Hi Sukhi Uska Sansaar Hai
Bagiya Vahan Pyar Ki Khil Rahi
Ye Jyoti Hamesha Jagaya Karo
Prabhu Naam Ko Gunagunaya Karo
Dar Dar Kyon Bhatke Are Bavare
Kya Karna Hai Uska Ishara
Milega Tujhe Shyam Se
Prabhu Ka Hai Jisne Bharosa Kiya
Jo Sar Pe Tere Shyam Ka Hath Hai
To Darane Ki Koi Bhi Na Baat Hai
Manzil Milegi Tujhe Ek Din
Pag Pag Pe Tere Prabhu Sath Hai
Binnu Kabhi Na Ruke Ye Kadam
To Murali Bajate Milenge Sanam
Dar Dar Kyon Bhatake Are Bavare
Ankhiyon Ko Sundar Milega Tujhe Shyam Se
Prabhu Ka Hai Jisne Bharosa Kiya