Tum Agar Dwar Maiya Aate Raho
Kaam Jo Bhi Hai Bigade Sudhar Jayenge
Ambey Ambey Jo Pukare Khali Khajane Bhar Jayege
Tum Agar Dwar Maiya Aate Raho
Kaam Jo Bhi Hai Bigade Sudhar Jayenge
Jisme Shraddha Aur Bhakti Ke Ankur Nahi
Maiya Unko To Hargiz Bulate Nahi
Pyar Karte Nahi Jo Dilo Jaan Se
Maiya Baaho Ka Jhoola Jhulati Nahi
Ek Nazar Bhar Ke Maa Ne Jo Dekha Tumhe
Saare Gam Ek Pal Mein Gujar Jayenge
Tum Agar Dwar Maiya Aate Raho
Kaam Jo Bhi Hai Bigade Sudhar Jayenge
Sona Chandi Maiya Ne Mange Nahi
Bhaav Se Hi Phool Ek Chada Deejiye
Phool Bhi Ek Chadane Mein Majboor Ho
Hath Charno Ke Aage Bada Deejiye
Jo Agar Maa Ke Charno Mein Mastak Dhara
Phool Aankho Se Nikalkar Ke Bikhar Jaayenge
Tum Agar Dwar Maiya Aate Raho
Kaam Jo Bhi Hai Bigade Sudhar Jayenge
Jay Ho Ambey Tumhari Khadag Dharni
Jay Bhawani Jay Durga Jay Brahmcharni
Jay Ho Komarya Kushmanda Sanhaarni
Kaal Vikarli Balshaali Bhav Tarani
Naam Herday Se Braj Kan Lete Raho
Vo Adham Neech Paapi Bhi Tar Jayenge
Tum Agar Dwar Maiya Aate Raho
Kaam Jo Bhi Hai Bigade Sudhar Jayenge